Tere chale jaane se zindagi ruki to nahi
par tere bina zindagi adhuri si lagti hai
Kis se kahu main dil ki baat
ek tu hi to thi jo aaj bhi apni lagti hai
Tune mujhe barbaad kiya
par tujhko ilzaam na doonga
Tune hi kiya tha aabad kabhi
teri baatein sacchi lagti thi
Kaash ki tu na milti mujhse
tanha to jee sakta tha
Ab milta hoon unse bhi
to tanhaiyan ruthne lagti hai
Jaanta hoon tu nahi hai meri
phir bhi tujhko pyaar kiya
Itna hi bata de mujhko tu
kya ye meri galti thi
Khush hoon main
ki teri doli mere kaandhe se hokar guzri hai
jalta hoon teri yaad mein jaise chita ki lakdi jalti hai
Tere chale jaane se zindagi ruki to nahi
par tere bina zindagi adhuri si lagti hai
Kis se kahu main dil ki baat
ek tu hi to thi jo aaj bhi apni lagti hai
No comments:
Post a Comment