Na who farishta ho, na farishte jaisa ho...
Mujhe talash hai us ki Jo mere jaisa ho...
Mere khulus ko pehchanta ho bas kafi hai...
Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kaisa bhi ho...
Jo khwab dene ke qadir ho meri ankhon ko...
Meri mohabbat ko pehchan sake who aisa ho...
Meri khatir merne ka hosla bhi rakhta ho...
Agar kabhi rooth jau main usse to muskura kar manaye who aisa ho...
Jo baat kare to who nibha bhi sake...
Iraadon mein who apni chahto jaisa ho...
Dukho mein hasne ka hunar janta ho...
Ek humsafar Jo samandar ki tarah gehra ho...
Us ke pyar ki thandak ho mere liye...
Aisi ki who to bilkul asmaan ke chand ke jaisa ho...
Who sirf mera ho Jo nigaahon mein haya rakhta ho...
Umr bhai sath chale who aisa ho...
Mere kahe bagair Jo samhujhe har ek baat ko......
Preet: Na Jo sirf who sune main kahun..
Main ye nahin kehti ki who puri kare meri har ek hasrat...
Par who aisa ho Jo samjhe mujhe har ek pal...
Chahe kuch aur wo samjhe na samjhe...
Jo meri bepanah mohabbat ko pehchane...
Na who farishta ho, na farishte jaisa ho...
Mujhe talash hai us ki Jo mere jaisa ho...
No comments:
Post a Comment