Your Comments...

You Are free to Write Comments , whether you like or dislike any of my post. Your Suggestions are also welcome. So feel free to write...

Tuesday, June 19, 2012

Suna Hai K Barish Usey Bhi Pasand Hai

Suna Hai K Barish Usey Bhi Pasand Hai
Woh Bhi Meri Terhan
Barasti Bondon Ko Hathon Mein Sameit Leti Hai ?.
Suna Hai Phool Usey Bhi Pasand Hai
Woh Bhi Meri Terhan
Ghanton Pholon Se Batein Kerti Rehti Hai ?..
Suna Hai K Chand Usey Bhi Aacha Lagta Hai
Woh Bhi Meri Terhan
Raat Raat Bher Usey Takti Rehti Hai ?.
Suna Hai Tanhaee Usey Bhi Bhati Hai
Woh Bhi Meri Terhan
Per Woh Tanha Baith Ker Kis Ko Sochti Hai
Sari Batein Sachi Hein Magar
Yeh Bhi Sach Hai !
Mein Jo Us K Barey Mein
Her Baat Ki Khabbar Rakhta Hon
Yeh Bhi Janta Hoon K Us Ki
Soochon Ka Mehwar Mein Nahi ??!!!

Usy Apna Kahna Achaa Lagta Hai...


Mujhe Ab Nead Ki Talaash Nahi... 
Raaton Tak Jaagna Acha Lagta Hai...
Mujha Nahi Malum K Wo Meri Kismat Me Hai Ya Nahi...
 Magar Khuda Se Usy Mangna Accha Lagta Hai...
Pata Nahi Mujha Haq Hai Yaa Nah,
 Pr Uski Parvah Krna Acha Lagta Hai,
Usy Pyar Karna Sahi Hai Ya Nahi,
 Per Is Ehsas Mein Jeena Acha Lagta Hai,
Kabhi Hum Sath Hoge Yaa Nahi, 
Par Yeh Khwaab Dekhna Acha Lagta Hai,
Wo Mera Ho Yaa Nahii, Per Usy Apna Kahna Achaa Lagta Hai...

Pyaar Itna Ziyada Na Kia Kar

Uljhe Hue Haalat Ka Shikwa Na Kia Kar,
Khairaat Mein Khushiyon Ki Tamanna Na Kia Kar,

So Baar Kaha Itni Mohabat Nahi Achi,
So Baar Kaha Itna Bharosa Na Kia Kar,

Halaat Tujhko Mujhse Na Milne Kabhi Dein Gay,
Ae Dost Mere…Meri Tamanna Na Kia Kar,

Kya Jane Ye Kis Mor Pe Le Jaye Zamana,
Tu Mujh Ko Kisi Pal Bhi Elehda Na Kia Kar,

Mumkin Hai Kisi Roz Bichar Jaon Achanak,
Tu Mujh Se Pyaar Itna Ziyada Na Kia Kar.

Aaina Hoon Main

Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho
Khud Nazar Aaongi Jo Aankh Mila Ker Dekho

Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai
Dugmagaaoge Mera Dard Utha Ker Dekho

Youn Tu Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushqil Hai Meri Raaha Se Jaaker Dekho

Bazam Ka Meri Charagaan Hai Nazar Ka Dhoka
Kin Andheroon Mai Bhatakti Hoon Main Aaker Dekho

Dil Tumhara Hai Main Ye Jaan Bhi Dedoon Tum Per
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Ker Dekho

Mout Barhaq Hai Mager Tum Se Waada Hai Mera
Laut Aaoungi Tum Ikbaar Bula Ker Dekho

kya khabar tum ko...

Kya khabar tum ko dosti kya hai,Ye roshni bhi hai andhera bhi hai
Khwahishon se bhara jazeera bhi hai,bohat anmol ek heera bhi hai
Dosti ek haseen khwab bhi hai,Pass se dekho to sharab bhi hai
Dukh milne pe yeh azab bhi hai,Aur yeh pyaar ka jawab bhi hai
Dosti yoon to maya jaal bhi hai,Ek haqeeqat bhi hai khayal bhi hai
Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai,Kabhi zameen kabhi falak bhi hai
Dosti jhoot bhi hai sach bhi hai,Dil main reh jai to kasak bhi hai
Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai,Dosti saaz bhi sangeet bhi hai
Sher bhi nazam bhi geet bhi hai,Wafa kya hai wafa bhi dosti hai
Dil se nikli Dua bhi dosti hai,Bas itna samajh lo tum pyaar ki inteha bhi dosti hai!!!

Good Morning

ज़िन्दगी , जीने के लिए

ज़िन्दगी
एक जज्बा, जीने के लिए
एक आरजू, पाने के लिए
एक इबादत, करने के लिए
एक खजाना, खोजने के लिए
एक लुत्फ़, उठाने के लिए
एक जाम , पीने के लिए
एक लम्हा बहकने के लिए
एक जज़्बात , तजुर्बे के लिए
एक वफ़ा , निभाने के लिए
एक नाज़ , उठाने के लिए
एक सबक , सीखने के लिए
एक डगर , चलने के लिए
एक फूल , खिलने के लिए
एक बगिया , महकने के लिए
एक दरिया , बहने के लिए
एक समंदर , डूबने के लिए
एक सुर , सजाने के लिए
एक ताल , मिलाने के लिए
एक नगमा , गुनगुनाने के लिए
एक साज़ , छेड़ने के लिए
एक तस्वीर , बनाने के लिए
एक ख्वाब , देखने के लिए
एक हकीकत , समझने के लिए
एक हक़ , छीनने के लिए
एक कुर्बानी , देने के लिए
एक बाज़ी , जीतने के लिए
एक मंजिल , पाने के लिए
एक ख़ुशी , बांटने के लिए ...
और बहुत कुछ है ज़िन्दगी ...
लफ्जों में बयान जो हो नो सके ;
लेकिन सतरंगी इन्द्रधनुष सी
बहुत खूबसूरत है ये ज़िन्दगी !

Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum

Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum,
Bas yahi ek wada nibha payenge hum.
Mita denge khud ko bhi jahan se lekin,
Tera naam dil se na mita payenge hum


jo saanson me basi hai woh khushboo they tum
meri pehli tamannaa aakhari aarjoo they tum
diya to bahut dene wale ne magar
hum hi apna daaman phaila na sake


andheri zindagi ke aaftaab they tum,
meri raahon ke mehtaab they tum
giri bijli to bhi meri hi jameen pe
aur hum apna aashiyaan bachaa na sake


gam hai ki tumhe apne pyaar ka ehsaas karaa na sake
tum rooth na jao yeh soch ke tumhe manaa na sake
tum gair ke na ho jao kisi mod par
is dar se kabhi tumhe apnaa na sake......


Mujhe bhul jaana agar ho sake
Mat yaad karna agar ho sake
Rahe yaad kyon bhul jaane ki baat
Na kabhi aansu bahana agar ho sake
Mujhe maaf karna mere humsafar
Kahin kho gaya main tumhe kho kar
Maine tumhe gam diya hai magar
Sada muskurana agar ho sake
Mat yaad karna agar ho sake