Your Comments...

You Are free to Write Comments , whether you like or dislike any of my post. Your Suggestions are also welcome. So feel free to write...

Tuesday, October 19, 2010

Wo ehsaaas hi kuch alag tha

Wo ehsaaas hi kuch alag tha pehli mohabbat ka,
wo ehsaas hi kuch alag tha pehli mulaaqaat ka,

chhoone ko bas haath tha, hothon se main duur tha,
par nazron se tumko cheda par kuch to majboor tha,

geele gulaabi hothon se chaha tha kuch kehna mujhe,
par kho ke meri aankhon me bas tum dekhti rahi mujhe,

wo pehli mulaaqaat apni, wo pehli pehli baat apni,
chaand ki chaandni se roshan wo pehli pehli raat apni,

zamaane ka humein darr bhi tha, pyaar ka awsar bhi tha,
rok liya khud ko tumne, main bhi kuch to majboor tha,

haath me tere wo gulaab deke, chhua tha tere haath ko,
aaj bhi khush hota hoon main soch us pehli mulaqaat ko,

aankhen teri jhukin si thi, saansen teri ruki si thi,
pehle pehle pyaar ki kuch bheeni bheeni mehek si thi,

sochta hoon main aaj bhi apne us pehli mulaaquat ko,
yaad karke khush hota hoon haathon me tere us haath ko...

Aaj wo pehla sparsh ka ehsaas

Aaj wo pehla sparsh ka ehsaas mujhe yaad aa raha hai,
jab pehli baar sharmaake mere haathon ko chhua tha,

us gulaab ke baag me mujhse wo gulaab tumne liya tha,
aur us gulaab ko lete huye mere haathon ko chhua tha,

wo sparsh jisne kai raaton ke liye meri neend uda di,
kaise main tumhe bataun kis tarha tumne mujhe chhua tha,

aankhon me hayaa ki laali, dil ki dhadkan me wo tezi,
jab kanpkapaate apne haathon se us gulaab ko chhua tha,

chhoote hi mere haathon ko maine kaske use thaama tha,
jab pehli baar us baag me tumhaare haathon ko chhua tha,

khol na paai tum sharm se apni aankhen kuch palon tak,
jaane kya asar tha wo jis ehsaas k saath tumne chhua tha,

mere kehne pe jab tumne badi mushkil se apni aankhen kholi,
tab maine pyaar se tumhaare un aankhon ko chhua tha,

chhuute hi tumhaare aankhon ko tum yun machal uthi us din,
kaske tumne pakad liya mera haath jab maine tumhe chhua tha,

aaj wo pehla sparsh ka ehsaas mujhe yaad aa raha hai,
jab pehli baar maine tumhare haathon ko chhua tha...

Thursday, September 23, 2010

Tere Ghar ka AaNgan

Tere Ghar ka AaNgan mujhe barha suhana laga
Na jaane kyuN, kis kader mujhe ye purana laga

MaiN bade itminaan se aya hooN tere paas maaN
ik umar Guzaar loonga gar tujhe ye nazrana laga

Tere bas meiN gar ho toh bhool jaana woh Dard
Mere aane ki aahat ka tujhe, kabhi tadpana Laga

Na jane kya dekha, maine teri udasas ankhoN meiN
Gunahgaar huN tera aane meiN mujhe ik zamana laga

Hamarey milan se Gar jalne lagegi ye kamzarf duniyaN
Khaak ho jaayega kisi dushman ka koi kabhi Nishana laga

Terii Ik awaaz pe mera, Gup-chup sa paas chale aana
Pyaar hai tera, paas ki lehroN ko bhi, pata na laga

KhwaaboN kii dunyaa ko jab jalte huye deKhaa

ख्वाबों की दुनिया को जब जलते हुए देखा
हर ख्वाब को मैने तिल तिल मरते हुए देखा

हो गई आदत अब तो अंधेरों मे जीने की
मुहब्बत का सूरज भी ढलते हुए देखा

क्या पाया क्या खोया न पता दिल को मेरे यारों
खुद के अरमां को दफ़न जो करते हुए देखा

लाखों थे बहाए आँसू मेरे घाव पर जिसने
नफ़ज़-ए-वापसी मे उसको ही हंसते हुए देखा

बीतें कल की यादों से खुद को नहीं निकाला फिर
जब सच की कड्वाहट को बढ्ते हुए देखा

हालत देख मेरी अक्सर महफ़िल कहे मुझ से
क्या शब को सुबहा से कभी मिलते हुए देखा?

खुद का गम महफ़िल में मैने सुनाया तो
सब के हाथों को मैने मलते हुए देखा

Friday, August 27, 2010

गुड मोर्निंग Sms

Dimple is a sign of pretty face!
A smile is a sign of joy!
A Hug is a sign of love!
&
A friend like ME in Ur life,
Wel!
That’s a sign of Ur
Gud Taste! Good Morning.

May you rise each texting day with fully charged cell phone in your hand,Inspiring message in your mind, me in your heart,And a clear signal all day long. Good Morning & Nice day!

Good morning !
With a great light of sun
With the songs of birds
With the great Azaan of Masjid
With the Quraan
With the happiness
With a great smile
And with the morning prayer
Have a nice day

You may not think of me when ur happy n having a good time,It’s fine, but please don’t 4get me when ur sad n alone coz.I want to be the first one to make u happy. Good morning!

No Toothbrush
No Tea
No Breakfast
No Ssnnan
No God’s Pooja
No
No
No
No
No
No
Sabse Pehle
Apun Ka SMS
Good Morning

Welcome to new morning with a smile on ur face ,love in ur heart,good thoughts in ur mind & u will have a wonderfull day,gud morning

Did you feel a little warm in the morning?
I sent you warm hugs in my thoughts!
Good morning and have a wonderful day!

Thought 4 the day
I cried when I had no shoes. Suddenly I stopped crying when i saw a man without leg.
Life is full of Blessings sometime we don’t understand it.
GUD MORNING

I asked God to make u happy, make u smile, guide u safely thru every mile;Grant u wealth, give u health & most of all give u love & care.Good Morning Dear.

Monday, August 23, 2010

Meri chahton se abhi anjan ho tum

Meri chahton se abhi anjan ho tum
Meri Dhadkan meri Jaan ho tum
Saanson ki dor ab bandhi hai tumhi se
Meri zindagi jeene ka armaan ho tum
Zindagi ki har khushiyan hai ab tum se
Mere hothon ki hansi meri muskan ho tum
Jabse tum se mila hoon saari duniyan se bekhabar hoon
Meri to subah aur sham ho tum
Roshan hai Zindagi ka har lamha teri yaadon se
Mere liye to suraj aur chaand ho tum
Mukammal hai tumhi se zindagi meri
Ab to meri pehchaan ho tum

Chalo Hum Maan Lete Hain

Chalo Hum Maan Lete Hain
Tumhain Hum Kho Chuke Lekin

Tumhari Yaad Ab Tak Kion
Humain Betaab Rakhti Hai

Humari Saans Ab Tak Kion
Tumhari Aas Rakhti Hai

Magar Ab Ye Bhi Suntay Hain
Tumhari Rah Roshan Hai

Tumhain Mil Jaye Ga Koi
Magar Afsos Hum Jesa Agar Pao Kahin Tum To

Mujhe Do Haraf Likh Dena
K Manzil Mil Gayi Mujh Ko

Monday, August 16, 2010

Mere Khwaab Mere Sapne

Mere Khwaab Mere Sapne Mere Tak Hain
Mere Baad Inhein Yaad Kare Ga Kaun

Meri Chahaat Ban Jaye Gi Afsaana
Meri Mohabbat Ko Yaad Kare Ga Kaun

Mere Tak Hain Yeh Tamaam Sunder Nazaare
Mere Baad Inhein Abaad Kare Ga Kaun

Meri Kahaniyaan Bikhrein Gi Raahon Pe
Mere Afsaanon Ko Yaad Kare Ga Kaun

Meri Khataon Ko Shumaar Kare Ga Zamaana
Meri Wafaaon Ko Yaad Kare Ga Kaun

Jo Guzaare They Hum Ne Zamaane Mil Ke
Unn Zamaanon Ko Yaad Kare Ga Kaun

Meri Aahein Mere Saath Ho Jayein Gi Dafan
Mere Aashkon Ko Yaad Kare Ga Kaun

Ek Tum Se Hai Zinda Yeh Chahat Meri
Tum Hi Na Ho Ge Tau Yaad Kare Ga Kaun

Aa Ke Iss Saath Ko Yaadgaar Bana Lein
Kal Kya Pata Iss Yaad Ko Yaad Kare Ga Kaun

Sunday, August 15, 2010

शायद ज़िन्दगी बदल रही है!

शायद ज़िन्दगी बदल रही है!

जब मैं छोटा था, शायद दुनिया बहुत बड़ी हुआ करती थी..

मुझे याद है मेरे घर से "स्कूल" तक का वो रास्ता, क्या क्या नहीं था
वहां, चाट के ठेले, जलेबी की दुकान, बर्फ के गोले, सब कुछ,

अब वहां "मोबाइल शॉप", "विडियो पार्लर" हैं, फिर भी सब सूना है..

शायद अब दुनिया सिमट रही है...
/
/
/

जब मैं छोटा था, शायद शामे बहुत लम्बी हुआ करती थी.

मैं हाथ में पतंग की डोर पकडे, घंटो उडा करता था, वो लम्बी "साइकिल रेस",
वो बचपन के खेल, वो हर शाम थक के चूर हो जाना,

अब शाम नहीं होती, दिन ढलता है और सीधे रात हो जाती है.

शायद वक्त सिमट रहा है..

/
/

जब मैं छोटा था, शायद दोस्ती बहुत गहरी हुआ करती थी,

दिन भर वो हुज़ोम बनाकर खेलना, वो दो के घर का खाना, वो लड़कियों की
बातें, वो साथ रोना, अब भी मेरे कई दोस्त हैं,

पर दोस्ती जाने कहाँ है, जब भी "ट्रेफिक सिग्नल" पे मिलते हैं "हाई" करते
हैं, और अपने अपने रास्ते चल देते हैं,

होली, दिवाली, जन्मदिन , नए साल पर बस SMS जाते हैं

शायद अब रिश्ते बदल रहें हैं..

/
/

जब मैं छोटा था, तब खेल भी अजीब हुआ करते थे,

छुपन छुपाई, लंगडी टांग, पोषम पा, कट थे केक, टिप्पी टीपी टाप.

अब इन्टरनेट, ऑफिस, हि, से फुर्सत ही नहीं मिलती..

शायद ज़िन्दगी बदल रही है.
.
.
.

जिंदगी का सबसे बड़ा सच यही है.. जो अक्सर कबरिस्तान के बाहर बोर्ड पर
लिखा होता है.

"मंजिल तो यही थी, बस जिंदगी गुज़र गयी मेरी यहाँ आते आते "
.
.
.
जिंदगी का लम्हा बहुत छोटा सा है.

कल की कोई बुनियाद नहीं है

और आने वाला कल सिर्फ सपने मैं ही हैं.

अब बच गए इस पल मैं..

तमन्नाओ से भरे इस जिंदगी मैं हम सिर्फ भाग रहे हैं..

इस जिंदगी को जियो की काटो

Friday, July 30, 2010

Mujh Rula Diya..

Sab Se Chupa Kar Dard, Woh Jo Muskura Diya
Us Ki Hansi Ne Aaj To Mujh Rula Diya,

Lehje Se Uth Raha Tha, Har ik Dard Ka Dhuaan
Chehra Bata Raha Tha Ke Kuch Ganwa Diya,

Awaz Mein Thihrao Tha, Aankhoon Mein Nami Thi
Aur Keh Raha Tha Ke Mein Ne Sab Kuch Bhula Diya,

Jane Kiya Us Ko, Logon Se Thi Shikayatein
Tanhaiyon Ke Dais Mein Khud Ko Basa Diya,

Khud Bhi Woh Hum Se Bichar Kar, Adhura Sa Ho Gaya
Mujh Ko Bhi itne Logon Mein Tanha Bana Diya,

Sab Se Chupa Kar Dard, Woh Jo Muskura Diya
Us Ki Hansi Ne Aaj To Mujh Rula Diya.

Baithe Baithe yunhi achanak

Baithe Baithe yunhi achanak kahin main khone lagti hoon.. Khud hi se khafa khafa si main hone lagti hon..

Sochti hoon jab bhi uske dard-o-ghum ka aalam.. Ho ke beikhtiyaar palkein main bhigone lagti hon..

Ek uska naam, uski yaad usi ka tassawur rehta hai aas paas.. Jab bhi ankehin kholti hon subho, Raat jab bhi main sone lagti hoon..

Woh ek baar Usne ne kaha tha, Main ab thak gya hoon.. Aaj bhi us lehje ki thakan karke mehsoos,bechain si main hone lagti hoon..

Duaon pe apni mujhe bharosa bouhat hai sadiyon se.. Ek yehi bharm dil mein liye,khwaab uske main sanjhone lagti hoon..

Ek sheeshe ka ghar sang uske maine bana to liya hai.. Dekh kar duniya ke haath mein pathar, khauf-zada si main hone lagti hon..

Dard chupata hai jab woh, dil se nahin faqt labon se muskurata hai jab wo.. Jaane kaun se ehsaas se main tadap jaati hoon,bebasi mein main rone lagti hoon..

Baithe baithe yunhi achanak kahin main khone lagti hoon.. Khud hi se khafa khafa si main hone lagti hoon..

Blogger Buzz: Blogger integrates with Amazon Associates

Blogger Buzz: Blogger integrates with Amazon Associates

Monday, July 5, 2010

The sugar is in the bottom..!!

The sugar is in the bottom..!!

Life is like a cup of coffee.!! We drink it to realize that the sugar is missing..! Too lazy to stir it up. We reach the bottom and find all the sweetness there!!

So? I look for the sweetness that is around me and stir up my life with it before its too late to drink the nectar of life. I believe in myself and try to take life as it comes. I love challenges and explore all avenues before giving up on anything. Take chances. Tell the truth. Date someone totally wrong for you. Say no. Spend all your cash. Fall in love.

Get to know someone random. Be random. Say i love you. Sing out loud. Laugh at stupid jokes. Cry. Apologize. Tell someone how much they mean to you. Tell a jerk what you think. Laugh till your stomach hurts & your eyes watery. Live life. Have no regrets.Buddha said, attachment to things is the source of so much suffering, when we’re clinging to an idea of how things should be..!!

Saturday, July 3, 2010

Koi ehsas thaa joo shayad

Koi ehsas thaa joo shayad choo gaya mujh ko
Koi wada naa thaa phir bhi intizar hoo gaya mujh ko

Teri zaat say koi khushi naa ki wabasta
Phir bhi her pal her khushi kaa intizar ho gaya mujh ko

Woo lumhay jo kabhi teray sath naa bitaaye maiN nay
OnhieN lumhooN kaa phir intizar hoo gaya mujh ko

Kisi kay saher meiN khonay say darr lagta thaa kabhi
Abb onhieN kay khabooN say piyar hoo gaya mujh ko

Samander kaa shor raha bay sabab under meray
OnhieN gehraai'oN meiN woh paata gaya mujh ko

Raat kay sunnaTay meiN aati heiN yaadeiN aisa libas pehnay
Jaisay dil kay teh khanoN meiN koi qayd ker gaya mujh ko

Moti'ye kay phool rahey hamesha kamzori meri "noor"
KhizaaN meiN bhi woo inn ki khushbu deta gaya mujh ko

Taras na jao kaheen

Taras na jao kaheen manzil-e-wafa ke liye......
kisi se pyar na kar bethna khuda ke liye.......

tum apni aahon mein asar na pao ge........
wohi hanse ga jise zakham-e-dil dikhao ge...........

phir utha sako ge na haath bhi dua ke liye...........
kisi se pyar na kar bethna khuda ke liye..................

wafa talash na kar in haseenon mein ..............
ke dil nahi pathar hain in ke seenon mein....................

yeh to sitam ke liye jafa ke liye....................
kisi se pyar na kar bethna khuda ke liye...................

yeh dunia haseen qaatilon ki basti hai..................
yahan muhabaton ko zindagi tarasti hai..............

sitam hazar saho ge ik aashna ke liye.................
kisi se pyar na kar bethna khuda ke liye...............

Sunday, January 17, 2010

Can i have an hour with you Dad?

Touching Story:Can i have an hour with you Dad?
A small touching story for all professionals…


A man came home from work late, tired and irritated, to find his 5-year old son waiting for him at the door.

SON: "Daddy, may I ask you a question?"

DAD: "Yeah sure, what is it?" replied the man.

SON: "Daddy, how much do you make an hour?"

DAD: "That's none of your business. Why do you ask such a thing?" the man said angrily.

SON: "I just want to know. Please tell me, how much do you make an hour?"

DAD: "If you must know, I make Rs.100 an hour."

SON: "Oh," the little boy replied, with his head down.

SON: "Daddy, may I please borrow Rs.50 ?"

The father was furious, "If the only reason you asked that is so you can borrow some money to buy a silly toy or some other nonsense, then you march yourself straight to your room and go to bed. Think about why you are being so selfish. I work hard everyday for such this
childish behavior."

The little boy quietly went to his room and shut the door.

The man sat down and started to get even angrier about the little boy's questions. How dare he ask such questions only to get some money?

After about an hour or so, the man had calmed down and started to think: Maybe there was something he really needed to buy with that Rs.50 and he really didn't ask for money very often. The man went to the door of the little boy's room and opened the door. "Are you asleep, son?" He asked.

"No daddy, I'm awake," replied the boy.

"I've been thinking, maybe I was too hard on you earlier" said the man.

"It's been a long day and I took out my aggravation on you. Here's the Rs.50 you asked for."

The little boy sat straight up, smiling. "Oh, thank you daddy!" He yelled.

Then, reaching under his pillow he pulled out some crumpled up bills.
The man saw that the boy already had money, started to get angry again. The little boy slowly counted out his money, and then looked up at his father.

"Why do you want more money if you already have some?" the father grumbled.

"Because I didn't have enough, but now I do," the little boy replied.

"Daddy, I have Rs. 100 now. Can I buy an hour of your time?
Please come home early tomorrow I would like to have dinner with you"

The father was crushed. He put his arms around his little son, and he begged for his forgiveness.

Moral:

It's just a short reminder to all of you working so hard in life. We should not let time slip through our fingers without having spent some time with those who really matter to us, those close to our hearts.

Do remember to share that Rs.100 worth of your time with someone you love.

If we die tomorrow, the company that we are working for could easily replace us in a matter of days.

But the family & friends we leave behind will feel the loss for the rest of their lives. And come to think of it, we pour ourselves more into work than to our family.

Sunday, January 3, 2010

Bohat yaad aate hai aap

Bohat yaad aate hai aap
jab aasmaaan sitaron ki mehfil sajata hai
jab chaand apni chandni ke sang jhoomta hai
jab sara alam neand ki khamoshi mai hota hai
Tab Bohat yaad aate hai aapjab dil bewaja machalta hai
jab sooraj dharti ko apni kirno se sajata hai
jab koi aur muj per apna haq jatata hai
Tab Bohat yaad aate hai aap
jab shabnam ka qatra kisi phool per girta hai
jab baadal zameen per barasta hai
jab koi bhi kisi ko galey lagata hai
Tab Bohat yaad aate hai aap
jab koi siaah kapraa muj per jachta hai
jab kisi aur ki aankhon se pyaar chalakta hai
jab be waja koi mujey apna samajta hai
Bohat yaad aate hai aap
jab raat ka koi pehar muj ko jagata hai
jab din mai thandi hawaa ka jonkaa ata hai
jab aansoo meri palkon pey thehar jata hai
Tab Bohat yaad aate hai aap