Your Comments...

You Are free to Write Comments , whether you like or dislike any of my post. Your Suggestions are also welcome. So feel free to write...

Friday, August 17, 2012

Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga

Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga
Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kahi Baar Mujhe
Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga
Jahan Us Nay Mera Zikr Suna Hoo Ga Kisi Say
Uss Ki Aankhoon Main Kohi Aansoo Tu Aya Hoo Ga
Raat Kay Bhegnay Tak Neend Na Aye Ho gi Tujhe
Tuu Nay Takeye Ko Bhi Senay Say Lagaya Ho ga
Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tuu Nay Jana
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga
Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga

Kisi ki Yaad Dil mein Hai

Kisi ki Yaad Dil mein Hai Koi Ehsaas baki hai
Badalte Mousamon ke darmian Ek Raaz baki hai
Abhi to mein Safar mein hoon Milegi Manzilein Mujhko
Magar in raaston ke darmian ek Saath baki hai
Kahin par Shaam Dhalti hai Kahin par raat hoti hai
Abhi to Chandni hai Chandni ki raat Baki hai
Chale Aao Kisi Din Tum Hamara Haal bhi Dekho
Hamara Jism Murda hai magar Ek Saans baki hai
Umeed hai Mujhe Phir bhi Milega woh Hamein Ek Din
Khuda par Hai Bharosa ke Khuda Ki Zaat baki hai

Abhi Abhi

Abhi abhi toh mile ho
Abhi naa karo chhootne ki baat
Abhi abhi toh pasand aaye ho
Abhi abhi roothne ki baat!

Abhi abhi toh roshni aayi

Abhi naa karo munh chhupane ki baat
Abhi abhi zindagi shuru hai...
Abhi abhi tham jane ki baat!

Hum toh haare mahiya re

Moonde naina, neend tihare 

Teri baazuon mein meri chahatein samaaye
Teri dhadkano ko meri dhadkanein sunaaye
Teri khwahisho se meri khwahishein riha hain
Teri karwaton se meri dastaan bayaan hai
Kya sukoon kya junoon humnawa...

Abhi abhi dil ki suni hai

Abhi na karo zamaane ki baat!
Abhi abhi baatein ruki hain
Abhi abhi dohraane ki baat!

Abhi abhi aawaaragi aayi

Abhi na karo sambhalne ki baat
Abhi abhi zindagi shuru hai
Abhi abhi tham jane ki baat!

Woh subah toh, bewajah ho

Ke Guzre bin tumhare jiski raat 

Teri baazuon mein meri chahatein samaaye
Teri dhadkano ko meri dhadkanein sunaaye
Teri khwahisho se meri khwahishein riha hain
Teri karwaton se meri dastaan bayaan hai
Kya sukoon kya junoon humnawa...

Hum toh haare mahiya re

Moondein naina neend tihaare