Your Comments...

You Are free to Write Comments , whether you like or dislike any of my post. Your Suggestions are also welcome. So feel free to write...

Tuesday, October 27, 2009

Ab Ager Aaoo To

Ab Ager Aaoo To Janey ke Liye Mat Aana Sirf Ahsaan Jataney kay Liye Mat aana

Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain Dil Par Umeed Ki Soo Rasmen Jala Rakhi Hain

Ye Haseen Shamen Bujhaane ke Liye Mat Aana Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hain

Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hain Hoon Bebas Ye Batane ke Liye Mat Aana

Mujhse Milne ki Agar Tumko Nahi Chahat koi Tum Sirf Rasmen Nibhaney ke Liye Mat Aana

Sunday, October 25, 2009

Kabi zindghi hai muhabat

Kabi zindghi hai muhabat
kabhi mout ka pegham he "mohabbat"
kabhi khushi se milti he "mohabbat"
kabhi gham ki sham he "mohabbat"
kabhi aansuon ki barish he "mohabbat"
kabhi hansi ka jaam he "mohabbat"
kabhi dil ki jalan he "mohabbat"
kabhi dil ka aaram he "mohabbat"
kabhi tanhai ki tarha be-naam he "mohabbat"
kabhi be-naam zindagi he "mohabbat"
kabhi zindagi kehti he mera naam hai :
"MOHABBAT"

Ab aisi muhabat kia krni

Ab aisi muhabat kia krni¿¿

Jo neend chura lay ankhon sey

Jo khuwab dikha kr pholon k,,,
Tabeer me kaantey dey jaye...

Jo ghum ki kaali raaton sey..
Her aas ka jugnu ley jaye..

Jo khuwab sjati ankhon ko.,
Ansu hi Ansu de jaye..

Jo mushkil kr dey jeene ko,,,
Jo marney ko aasan krey...

Wo dil jo pyar ka mandir ho,,
Wo yaadon ko mehman krey..

Kehney ko muhabat hai lekin...
Ab aisi muhabat kia krni... ......

Wohi izhar kafi tha

Wohi izhar kafi tha,
Tumhain ik din kaha tha jo,
k tum se pyar karte hain . . . . .!
Woh lamha bhool kyun bethe,
Wo jumla bhool kyun bethe,
Abhi tajdeed mango gay,
Meri belos chahat ki,
Tumhain ek bar phir se woh,
Mohabbat na mile shayad,
Ye jo tum rooth bethe ho,
Tumhari kam nigahi hai,
Tumhain agar pyar karna tha,
Hamare sath chalna tha,
Wo ek izhar sun lete,
Wohi izhar kafi tha,
Tumhain ek din kaha tha jo,
k tum se pyar karte hain . . .

Saturday, October 17, 2009

Ek humsafar chahiye...

Na who farishta ho, na farishte jaisa ho...
Mujhe talash hai us ki Jo mere jaisa ho...

Mere khulus ko pehchanta ho bas kafi hai...
Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kaisa bhi ho...

Jo khwab dene ke qadir ho meri ankhon ko...
Meri mohabbat ko pehchan sake who aisa ho...

Meri khatir merne ka hosla bhi rakhta ho...
Agar kabhi rooth jau main usse to muskura kar manaye who aisa ho...

Jo baat kare to who nibha bhi sake...
Iraadon mein who apni chahto jaisa ho...

Dukho mein hasne ka hunar janta ho...
Ek humsafar Jo samandar ki tarah gehra ho...

Us ke pyar ki thandak ho mere liye...
Aisi ki who to bilkul asmaan ke chand ke jaisa ho...

Who sirf mera ho Jo nigaahon mein haya rakhta ho...
Umr bhai sath chale who aisa ho...

Mere kahe bagair Jo samhujhe har ek baat ko......
Na Jo sirf who sune main kahun..

Main ye nahin kehti ki who puri kare meri har ek hasrat...
Par who aisa ho Jo samjhe mujhe har ek pal...

Chahe kuch aur wo samjhe na samjhe...
Jo meri bepanah mohabbat ko pehchane...

Na who farishta ho, na farishte jaisa ho...
Mujhe talash hai us ki Jo mere jaisa ho...

Monday, October 12, 2009

Yeh Rishtay Mohabbat Kay

Yeh Rishtay Mohabbat Kay Azmaiy Nahi Jatey
Aggar Toot Be Jaein Dil Se Bhulaye Nahi Jatey,
Koi Khaas Hi Hota Hai Palkon May Jo Rehta Hai
Sab Log Tu Dil May Aay Jaan may Basay Nahi Jatey
Sare Sapno Ki Kirnien Tao Ho Jati Hein Khud Roshan
Khawab Mohbat Key Soch Samajh Key Sajey Nahi Jatey
Mit Jata Hai Sab Khuch Magar Es Payar Key Rishtay May
Khuch Naqash Kabhi Dil Se Mitaye Nahi Jatey
Keh Do Yeah Zara Un se Huma Judai Tarpati Hai
Intzaar Key Diay Ab Hum Se Jalay Nahi Jatey.

Friday, October 2, 2009

Ek vehem Tha

Ek vehem Tha Dil Mein Shayad Kabhi Milo Tum
Kuch Deer Rukh Ke Pochoo Betay Dinoo Ka Mosam
Awaz Mein Ho Larzish Aankhoon Mein Ek Tajassus
Mazi Ka Koi Lamha Shayad Aatak Gaya Ho
Sab Bhool Ker Bhi Shayad Kuch Yaad Aagaya Ho
Phir Mein Tumhain Bataoon Apni Khushi Ki Bateen
Har Dukh Chupa Ke Dil Mein Aasudgi Ki Bateen
Wo Chand Choudwiin Ka Taroon Bhari Wo Rateen
Pyaar Ka Tassauwur Aur Bandagi Ki Bateen
Woh Roz Roz Marna Aur Zindagi Ki Bateen
Tum Dukh Se Muskuraoo Aur Dheray Se Paas Aao
Sir Ko Jhuka Ke Apne Chup Chap Lout Jaoo
Phir Mein Bhi Muskuraoo Aur Dil ke Diyee Bhujaon
Reply

Tumhein Yaad Karta Hoon

Tumhein Yaad Karta Hoon To Aankh Bheeg Si Jaati Hai
Dil Dharakna Bhool Jaata Hai
Saansein Rukne Lagti Hain
Zindagi Apni Khatam Si Lagti Hai
Dunya Berang Lagne Lagti Hai
Dil Aawara Sa Ho Jaata Hai
Sochta Hoon Jo Mere Saath Huya
Kisi Ke Saath Na Ho
Us Waqt Ek Hi Dua Karta Hoon
Apne KHUDA Se Tumhare Liye
Tum Jahan Bhi Raho Khush Raho
Tumhare Dil Ka Mausam Aabad Rahe
Tumhein Itni Khushiyaan Milein
Jo Aaj Tak Kisi Ko Na Milli Haun
Tum Se Milay Mujhe Gham
Wo Main Sambhal Ke Rakhoon Ga Apne Paas
Tumhare Gham Ko Banaaoun Main Apni Khushi
Rahoon Ga Tumhare Gham Ke Saath Khushi Khushi

Mulakat jo un se

Mulakat jo un se hoi ek arsey baad,
Ajab si kasak Dil mein hoi ek arsey baad,
Sapne buhat se aisey jo sirf khwab the,
Hakeekat mein dahlte nazar aaye ek arsey baad,
Woh sab jo kho chuke the ek udaas sham mein,
Milne ki kiran nazar ek arsey baad,
Socha tha kareen ge un se dheeron shikwey,
Apni hi soch par hansi aayi ek arsey baad,
Kehna os ko pyaar se meri zindagi mein laot aao,
Hasrat jeeney ki dil mein hoi ek arsey baad
Remove this message

Har Subah Nikal Parti Hai

Har Subah Nikal Parti Hai Jo Khud Ki Talash Me
Vo Khoyi Hui Si Ek Pahchan Hoon Main


Na Ankhon Me Khwab Hai Na Dil Me Tamanna Koi
Apni Banayi Hui Rahon Se Hi Anjan Hoon Main

Kabhi zara Si Baat Par Ansu Baha Deta Tha jo
Aaj Rah Me Pari Lash Ki Tarah Bejan Hoon Main

Ankho Me Khwab Sanjone Ki Bhi Saza Hui Hai Mujhko
Khilne Se Pehle Hi Jo Toot Jaye Aisa Ek Arman Hoon Main

Jane Kitne Hi khawab Dafana Chuka Hoon Is Dil Me
Ab To Lagta Hai Jaise Khud Hi Ek Kabrastan Hoon Mein

Esa Hai ke Sab Khuwab

Esa Hai ke Sab Khuwab Musalsil nahen Hote
Jo Aaj to Hote Hain Magar Kal Nahen Hote
Andar ki Fizaon ke bhi Ajab Karshime bhi Ajab Hain
Meenah Toot ke Barse Bhi to Badal Nahen Hote
Kuch Mushklein Esi hain ke Aasan Nahein Hoti
Kuch Ese Muaime Hain, Kabhi Hal nahen Hote
Shaistagi Gham ke sabab , Ankhoo ke Sehera
Namnak to Hojate Hain, Jal thal nahen Hote
Kese hi Talatam Hon Magar Qalzam-e- Jann Mein
Kuch Yaad Jazere Hain ke Ojhal nahen Hote
Sab Khuwahishien Pori ho 'hamari' Esa Nahi Hai
Jese Kai Ashiar Mukamal Nahi HOte

Thursday, October 1, 2009

Intezaar kuch baatoon ka

Intezaar hai mujhe, unn palon kaa
jinme baraa ho tera pyaar.

Intezaar mujhe hai, unn haseen sapno kaa
jinhe mujhe dikhaaya hai.

leh se Laddak tak kaa safar,
Zindagi ki tanhaiyaan mitaane kaa vaada.

Intezaar hai unn baanhoo kaa, joh sirf
mujhe aagosh mein bharne ko hai bekaraar.

Intezaar hai, uss pal ka joh mere,
Jism ko choo kar meri rooh se mile.

Intezaar, unn aankhon kaa, jinmein bharaa hai
Beshumaar pyaar, sirf mere liye.

Intezaar, unn alfazon kaa, joh mujhe
sarabor karte hain, sir se paer tak.

Intezaar, uss muskarahat kaa, joh
aati hai mujhe soch kar.

Intezaar, uss ehsaas kaa, joh kehta hai
Kii mein hoon, sirf tumhaare liye.....