Your Comments...

You Are free to Write Comments , whether you like or dislike any of my post. Your Suggestions are also welcome. So feel free to write...

Sunday, December 1, 2013

Tere khushboo mein base khat

Tere khushboo mein base khat main jalaata kaise Pyaar mein dube huye khat main jalaata kaise Tere haathon ke likhe khat main jalaata kaise Tune duniya ki nigaahon se jo bachkar likhe Saal ha saal mere naam baraabar likhe Kabhi din mein toh kabhi raat ko uthkar likhe Tere khushbu mein base Jinaka har labj mujhe yaad tha paani ki tarah Yaad themujhako jo paigaamein jubaani ki tarah Mujhako pyaare thejo anmol nishaani ke tarah Tere khushboo mein base khat main jalaata kaise Pyaar mein dube huye khat main jalaata kaise Tere haathon ke likhe khat main jalaata kaise Tere khat aaj main ganga mein baha loon - (2) Aag behate huye paani mein laga aaya hoon

Un khaton ka main kya karoon

Un khaton ka main kya karoon 
jo kabhi tumne mujhe likhe the 
kabhi un khaton mein tumhara sparsh tha 
likhe hue har shabd mein tumhara ehasas tha 
wo khat kabhi mujhe jannat ki sair karate the 
apne pyar ke sath jeene ki kala sikhate the 
safed, gulabi pannon par neeli syahi ki chamak 
taaron se bhi jyada chamkili thi 
aaj we panney peele par gaye 
neeli syahi ki chamak bhi syah ho gayi 
ab tum bhi dhoondhle hi nazar aate ho 
kabhi khaton mein hum tum sath the 
aaj sath hoker bhi door nazar aate ho 
ab un khaton mein jindagi nazar aati nahin 
tumhi batao in bejan pannon ka main kya karoon 
jab main bejan ho jaon to 
jala dena inhe bhi mere sath 
taki us duniya mein bhi main 
in khaton ke sath jee jaon..... 

Almaari se khat uske puraane nikal aaye

Almaari se khat uske puraane nikal aaye,
Phir se mere chehre pe ye daane nikal aaye.
Maa baith ke takti thi jahan se mera raasta,
Mitti ko hataate hi khazaane nikal aaye.
Mumkin hai humein gaaon bhi pehchan na paaye,
Bachpan mein hi hum ghar se kamaane nikal aaye.
Aye rett ke zarre tera ehsaan bahut hai,
Aankhon ko bhigone ke bahaane nikal aaye .
Cheekhein bhi yahan gaur se sunta nahi koi,
Kis shehar mein tum shair sunaane nikal aaye ? ..!!