Kabhi-kabhi aata hai dil me khayaal,
ki meri zindagi me bhi ho koi bemisaal,
ki saath lage jiska aisa roohani,
ki uske saamne ho jaye duniya bemaani.
Miloon jo usse to ehsaas ho kuch khaas,
door hoke bhi lage ki hai wo kahin paas,
samjhe mujhe mujhse bhi zyada,
wo jise keh sakoon mai apna hissa aadha.
Hai mujhe us shakhs ka intezaar,
jispe ho mujhe itna aitbaar,
ki poori karoon uski har ek khwahish,
bhale kar raha ho wo mere pyaar ki aazmaish.
Ta umra chal sakoon mai jiske saath,
aur keh sakoon jisse dil ki har baat,
kabhi-kabhi aata hai dil me khayaal,
kabhi-kabhi aata hai dil me khayaal.......
ki meri zindagi me bhi ho koi bemisaal,
ki saath lage jiska aisa roohani,
ki uske saamne ho jaye duniya bemaani.
Miloon jo usse to ehsaas ho kuch khaas,
door hoke bhi lage ki hai wo kahin paas,
samjhe mujhe mujhse bhi zyada,
wo jise keh sakoon mai apna hissa aadha.
Hai mujhe us shakhs ka intezaar,
jispe ho mujhe itna aitbaar,
ki poori karoon uski har ek khwahish,
bhale kar raha ho wo mere pyaar ki aazmaish.
Ta umra chal sakoon mai jiske saath,
aur keh sakoon jisse dil ki har baat,
kabhi-kabhi aata hai dil me khayaal,
kabhi-kabhi aata hai dil me khayaal.......
No comments:
Post a Comment