Vo tamaam duniya ke vaastay jo mohabbaton ki misaal tha
Vohi apnay ghar mein tha bevafa, yeh kabhi kisi ko khabar na ho
Vo bujhay gharon ka chiraagh tha, yeh kabhi kisi ko khabar na ho
Usay le gayi hava kahaan, yeh kabhi kisi ko khabar na ho
Kayi log jaan se jaayen ge, meray qaatilon ki talaash mein
Meray qatl mein mera haath tha, yeh kabhi kisi ko khabar na ho
Mujhe jaan ker koi ajnabi, vo dikha rahay hain gali gali
Isi shehr mein mera ghar bhi tha, yeh kabhi kisi ko khabar na ho
Vo samajh ke dhoop ka devta, mujhe aaj poojnay aaye hain
Main chiraagh hoon teri shaam ka, yeh kabhi kisi ko khabar na ho
Kaheen masjidon mein shahaadatain, kahin mandiron mein adaalatain
Yahaan kaun karta hai faislay, yeh kabhi kisi ko khabar na ho
Meray paas jitni hai raushni, hai yehi chiraagh ki zindagi
Main kahaan jala main kahan bujha, yeh kabhi kisi ko khabar na ho
No comments:
Post a Comment