Tere khushboo mein base khat main jalaata kaise
Pyaar mein dube huye khat main jalaata kaise
Tere haathon ke likhe khat main jalaata kaise
Tune duniya ki nigaahon se jo bachkar likhe
Saal ha saal mere naam baraabar likhe
Kabhi din mein toh kabhi raat ko uthkar likhe
Tere khushbu mein base
Jinaka har labj mujhe yaad tha paani ki tarah
Yaad themujhako jo paigaamein jubaani ki tarah
Mujhako pyaare thejo anmol nishaani ke tarah
Tere khushboo mein base khat main jalaata kaise
Pyaar mein dube huye khat main jalaata kaise
Tere haathon ke likhe khat main jalaata kaise
Tere khat aaj main ganga mein baha loon - (2)
Aag behate huye paani mein laga aaya hoon
Your Comments...
You Are free to Write Comments , whether you like or dislike any of my post. Your Suggestions are also welcome. So feel free to write...
Sunday, December 1, 2013
Un khaton ka main kya karoon
Un khaton ka main kya karoon
jo kabhi tumne mujhe likhe the
kabhi un khaton mein tumhara sparsh tha
likhe hue har shabd mein tumhara ehasas tha
wo khat kabhi mujhe jannat ki sair karate the
apne pyar ke sath jeene ki kala sikhate the
safed, gulabi pannon par neeli syahi ki chamak
taaron se bhi jyada chamkili thi
aaj we panney peele par gaye
neeli syahi ki chamak bhi syah ho gayi
ab tum bhi dhoondhle hi nazar aate ho
kabhi khaton mein hum tum sath the
aaj sath hoker bhi door nazar aate ho
ab un khaton mein jindagi nazar aati nahin
tumhi batao in bejan pannon ka main kya karoon
jab main bejan ho jaon to
jala dena inhe bhi mere sath
taki us duniya mein bhi main
in khaton ke sath jee jaon.....

Almaari se khat uske puraane nikal aaye
Almaari se khat uske puraane nikal aaye,
Phir se mere chehre pe ye daane nikal aaye.
Phir se mere chehre pe ye daane nikal aaye.
Maa baith ke takti thi jahan se mera raasta,
Mitti ko hataate hi khazaane nikal aaye.
Mitti ko hataate hi khazaane nikal aaye.
Mumkin hai humein gaaon bhi pehchan na paaye,
Bachpan mein hi hum ghar se kamaane nikal aaye.
Bachpan mein hi hum ghar se kamaane nikal aaye.
Aye rett ke zarre tera ehsaan bahut hai,
Aankhon ko bhigone ke bahaane nikal aaye .
Aankhon ko bhigone ke bahaane nikal aaye .
Cheekhein bhi yahan gaur se sunta nahi koi,
Kis shehar mein tum shair sunaane nikal aaye ? ..!!
Kis shehar mein tum shair sunaane nikal aaye ? ..!!
Subscribe to:
Posts (Atom)