Shehar Mera Magar Waqar Us Ka Tha,
Meri Har Shaam Ko Intezar Us Ka Tha,
Mere Khuwabon Pe Jo Qabiz Hai Ek Shakhs,
Meri Aankhon Mein Sara Khumar Us Ka Tha,Mere Wajood Se Jo Ban Chuka Hai Anjaan,
Meri Har Saans Mein Qaraar Us Ka Tha,Jab Bhi Mangi Hai Us Se Shaam-e-Wasal,
Meri Har Daleel Par Inkaar Us Ka Tha,Jo Shamil Thay Mere Qatal Ki Sazish Mein,
Un Logon Mein Shumaar Us Ka Tha,Mere Jeewan Ne Ye Manzar Bhi Dekh Liya,
Pehlo Mera Khanjar Mera Magar Waar Us Ka Tha…!!!
Your Comments...
You Are free to Write Comments , whether you like or dislike any of my post. Your Suggestions are also welcome. So feel free to write...
Wednesday, October 26, 2011
Shehar Mera Magar Waqar Us Ka Tha
Sunday, October 23, 2011
Pyar pehli baarish ki boondon main hai
Pyar pehli baarish ki boondon main hai
Pyar khilte phoolon ki khushboo main hai
Pyar dhalte sooraj ki kirano main hai
Pyar har naye din ki umeed hai
Pyar khwaab hai,Pyar jeet hai
Pyar pyaar hai,Pyar geet hai
Pyar do jahano ka sangeet hai
Pyar har khushi,Pyar zindagi
Pyar tishnagi,Pyar bandagi hai
Pyar sang chalty hawaon main hai
Pyar in barasti ghataon main hai
Pyar doston ki wafaon main hai
haath uttha ke jo maangi gayi hai dua
Pyar ka asar un duaon main hai …
Friday, October 14, 2011
Ik tamanna thi
Ik tamanna thi jis ki, woh khwab tum ho,
Hai sitaron ko bhi khabar, mera mehtaab tum ho.
Youn tau kai chehre mile iss zamane mein,
Magar dil ne kaha, nigahon ka aftaab tum ho.
Dekh kar phoulon ko hota hai ye gumaan,
Mast baharon mein khila gulaab tum ho.
Dastaan-e-mohabbat ho, ya koi afsaana-e-dil,
Har bazm-e-yaraan mein, mera khitaab tum ho.
Likha hai main ne, ae dost, alfaaz-e-mohabbat,
Meri ghazal,mere ashaar,meri kitaab tum ho

Thursday, October 6, 2011
Ijaazat de do
Khud ko is dil mein basane ki ijaazat de do,
Mujh ko tum apna banane ki ijaazat de do,
Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho,
Phoolon se khud ko sajane ki ijaazat de do,
Mein kitna chahta hoon kis tarah batau tumhe,
Mujhe ye aaj batane ki ijaazat de do,
Teri chand si ankhon mein chand sechehra,
Mujhe ye shaam sajane ki ijaazat de do,
Mujhe qaid kar lo apne ishq mein,
Ya mujhe ishq karne ki ijaazat de do.

Subscribe to:
Posts (Atom)